Sadma (The Shock)…

heart-broken-break-shock-bolt-512

To,

My Dear Ex,

Bata Duniya Ko Mere Ishq Mein Kitni Sachayi Thi

Bewafa Thi Tu Jo Kisi Or Ka Bistar Garam Karke Aayi Thi.

Diya Jo Tune Sadma Tha, Usse Aankh Meri Bhar Aayi Thi,

Kya Bataun Tujhko, Meri Rooh Kitni kapkapayi thi.

Sadma Lekar Tere Fareb Ka Jab Nikla Tha Tere Kamre Se

Chalne Laga Jo Jaane Ko, Pair Fisla Tha Mera Seediyo Se.

Pair Fisalke Jo Gira Tha Main To Chot Maine Khaayi Thi

Kya Bataun Tujhko Tab Jaan Pe Meri Ban Aayi Thi.

Diya Aisa Dard Bhi Tune Ki Bahar Na Fir Main Nikal Saka

Meri Nafrat Ka Aagaaz Hua Fir Badal Na Jise Main Saka.

Teri He Ek Dost Bhi Thi Jo Usdin Mere Saath He Thi

Samhala Tha Usne He Mujhe Par Hairan To Wo Bhi Thi.

Tere Jaisi Dost Ko Paakar Sharm Se Sir Uska Bhi Jhuka,

Dard Hua Tha Mujhko Par Dhadakta Dil Uska Bhi Ruka.

 

Ek Ek Pal Guzaara Aise Jaise Andhera Ho UJiyaalo Mein

Simat Gayi Meri Sab Raatein Bus Ek He Khayalon Mein.

Tera Wo Kisi Aur Ki Baahon Mein Hona Bar Bar Yaad Aata Hai,

Mere Har Sapne, Meri Himmat Ko Besabab Tod Ke Jata Hai.

 

Khair,

Ek Arsa Hua Tujhe Gaye Huye, Fir Bhi Yaad Teri Aati Hai

Jee Bhi Raha Hu Ya Marr Chuka, Tujhe Kahan Khabar Jati Hai.

Koshish Tujhe Bhulaane Ki Puri Hai, Par Khwaaishe Aaj Bhi Adhuri Hai

Zinda Hu Filhal Itna He Kaafi Hai, Par Meri Sazao Ki Kya Koi Maafi Hai ?

 

Khair Tere Jaane Se Khaamoshi Zarur Chhayi Hai

Par Ek Arse Baad Zindagi Mein Khushi Chalke Aayi Hai

Hai Khushnaseebi Meri Wo Khushi Ek Khushnuma Dost Ke Roop Mein Aayi Hai

Par Wo Bhi Gum Ki Maari, Apno Ki Satayi hai.

 

Teri He Tarah Muskurati Hai, Teri He Tarah Khilkhilati Hai.

Rehti Hai Wo Kahin Door Mujhse, Par Fir Bhi Apna Haq Jatati Hai

Mujhse Anjaan Hote Huye Bhi, Mujhe Apna Batlati Hai.

 

Majbur Hu Sochne Ko Ye Kaisa Mazak Hai Kudrat Ka

Jiske Liye Sab Kurbaan Kardia, Apni Rooh Tak Ko Neelaam Kardia

Usko Begunaah Hote Huye Bhi Chheen Liya

Or Croro Ki Bhheed Mein Ek Ajnabee Ko Apna Kardia.

 

Kaun Jaane Kya Hai Kiske Naseeb Mein

Bus Chal Rahi Hai Saanse Is Umeed mein

Ki Shayad Ek Din Pyar Mera Bhi Muqammal Hoga

Swaarth Bhari Duniya mein, Main Bhi Kisi Ka Swaarth Hounga.

 

——————————————————– #Ankit Jindal

 

 

 

The Regret Of Lost Love

d7

Lagta Hai Kuch Hogaya Mujh Mein,

Lagta Hai Kuch Kho Gaya Tujh Mein

Teri Us Hasi Ko Firse Paana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

 


 

Hogayi Kuch Khata Mujhse

Rooth Gaya Tha Jab Main Tujhse

Dil Ko Tere Manana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

 


 

Tere Dil Ka Hai Haal Bura

Mere Dil Ka Bhi Yahi Haal Zara

Jhoom Ke Saawan Ki Baarish Mein

Hume Dard Apna Bahana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

 


 

Chhodengy Nahi Saath Tera

Chhodna  Na Tum Saath Mera

Sukoon Tera Lautana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

 


 

Aansu Tere Beshkimti Hai

Dhadkan Teri Suhaani Hai

Tere Dil Mein Pyaar Badhana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

 


 

Duniya Badi Beimaan Rahi

Par Tujhe Kahan Uski Pehchaan Rahi

Tujhe Baaho Mein Mehfoos Karke Apni

Duniya Se Bachana Hai

Milke Firse Hum Dono Ko Jhilmilana Hai.

The Journey Begins

Thanks for joining me, People!

Good company in a journey makes the way seem shorter. — Izaak Walton

This Blog is to write out my heart emotions which can touch the emotions or sentiments of other fellow beings. As i am from india, most of my writings would be in Hindi.

download

So here is my first post for the people who Loves poetry :

Zindagi Ki Shuruwat Huyi Kuch is Kadar

Tanhaaiyo Mein Chalta Raha Jeene Ka Safar.

Andhere Raasto Pe Bhi Nikle Hum Ujaalo Ki Umeed Leke

Khuda Bhi Raha Bewafa Kadam Kadam Par Dhoka Deke.

Nikal Aaye Kitni Dur Un Raasto Pe Chalte Chalte

Mudkar Dekha To Saaye Ne Bhi Sath Chhoda Thakte Thakte

Maaloom Tha Kise Ho Jayengy Hum Yun Akele

Jeene Ki Keemat Chukaani Padegi Yun Zeher Peete Peete

Pyar Ki Buniyaad Pe Kaayam Aaj Bhi Mera Dard Hai

Diya Jeetna Pyar, Mujhe Mila Fir Bhi Kuch Kam Hai

Har Roz Ek Shama Dil Mein Bujhti Jalti Hai                                                

Kisi Ki Adhuri Chah Mein Tapti Dhalti Hai

Fir Bhi Chali Ja Rahi Hai Zindagi

Najane Kis Kiran Ki Or

Laakh Kiye Sajde Us Khuda Ke

Praarthna or Duaao Ka Bhi Ab Nahi Koi Zor.

Umeed Karte Hai ik Din Zindagi Yun Sanwar Jaayegi

Aankh Se Nikle Aansuo Ki Keemat Ada Ho Jayegi

Sooni Padi Dil Ki Daali Pe Bahaar Fir Laut Aayegi

Ik Din Jab Zindagi Yun Sanwar Jayegi.

—————–Ankit Jindal

Design a site like this with WordPress.com
Get started