The Journey Begins

Thanks for joining me, People!

Good company in a journey makes the way seem shorter. — Izaak Walton

This Blog is to write out my heart emotions which can touch the emotions or sentiments of other fellow beings. As i am from india, most of my writings would be in Hindi.

download

So here is my first post for the people who Loves poetry :

Zindagi Ki Shuruwat Huyi Kuch is Kadar

Tanhaaiyo Mein Chalta Raha Jeene Ka Safar.

Andhere Raasto Pe Bhi Nikle Hum Ujaalo Ki Umeed Leke

Khuda Bhi Raha Bewafa Kadam Kadam Par Dhoka Deke.

Nikal Aaye Kitni Dur Un Raasto Pe Chalte Chalte

Mudkar Dekha To Saaye Ne Bhi Sath Chhoda Thakte Thakte

Maaloom Tha Kise Ho Jayengy Hum Yun Akele

Jeene Ki Keemat Chukaani Padegi Yun Zeher Peete Peete

Pyar Ki Buniyaad Pe Kaayam Aaj Bhi Mera Dard Hai

Diya Jeetna Pyar, Mujhe Mila Fir Bhi Kuch Kam Hai

Har Roz Ek Shama Dil Mein Bujhti Jalti Hai                                                

Kisi Ki Adhuri Chah Mein Tapti Dhalti Hai

Fir Bhi Chali Ja Rahi Hai Zindagi

Najane Kis Kiran Ki Or

Laakh Kiye Sajde Us Khuda Ke

Praarthna or Duaao Ka Bhi Ab Nahi Koi Zor.

Umeed Karte Hai ik Din Zindagi Yun Sanwar Jaayegi

Aankh Se Nikle Aansuo Ki Keemat Ada Ho Jayegi

Sooni Padi Dil Ki Daali Pe Bahaar Fir Laut Aayegi

Ik Din Jab Zindagi Yun Sanwar Jayegi.

—————–Ankit Jindal

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started